Bahut Malul BaDe Shadman Gae Hue Hain

bahut malul baDe shadman gae hue hain

hum aaj ham-rah-e-gum-gashtagan gae hue hain

agarche aae huon hi ke sath hain hum bhi

magar gae huon ke darmiyan gae hue hain

nazar to aate hain kamron mein chalte-phirte magar

ye ghar ke log na jaane kahan gae hue hain

sahar ko hum se milo go ki shab mein bhi hain yahin

ye koi Thik nahin kab kahan gae hue hain

kahin se lauT ke qisse sunaenge tum ko

kahin sunane ko hum dastan gae hue hain

talashiye phir inhin mein tarashiye phir inhen

yahi wasile ki jo raegan gae hote hain

abhi tayyun-e-sath-e-kalam kya puchho

abhi to hum tah-e-ijz-e-bayan gae hue hain

baja ki raaz ki baaten bataenge tumhein 'saz'

magar sambhal hi ke sunna miyan gae hue hain

(990) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Malul BaDe Shadman Gae Hue Hain In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Bahut Malul BaDe Shadman Gae Hue Hain is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Bahut Malul BaDe Shadman Gae Hue Hain for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Bahut Malul BaDe Shadman Gae Hue Hain in PDF.