Baja Ki Lutf Hai Duniya Mein Shor Karne Ka

baja ki lutf hai duniya mein shor karne ka

nasha kuchh aur hai gum-nam maut marne ka

abas hai zoam samundar ke par utarne ka

ye silsila hai faqat Dubne ubharne ka

ajab saman tha ki tazlil bhi thi kaif-angez

wo mera waqt teri siDhiyan utarne ka

kafan mein panw hilen pairahan mein lash chale

hamara ahd na jine ka hai na marne ka

ye aagahi ka maraz la-ilaj hai baba

buKHar utarne ka hai ye na zaKHm bharne ka

yahi wo saat-e-fan jis mein aap hon na muKHil

yahi hai waqt magar hum se baat karne ka

sabhi ne pyar se sarf-e-nazar kiya hum ko

na aaya 'saz' tariqa hamein akharne ka

(1011) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baja Ki Lutf Hai Duniya Mein Shor Karne Ka In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Baja Ki Lutf Hai Duniya Mein Shor Karne Ka is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Baja Ki Lutf Hai Duniya Mein Shor Karne Ka for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Baja Ki Lutf Hai Duniya Mein Shor Karne Ka in PDF.