Bujh Gai Aag To Kamre Mein Dhuan Hi Rakhna

bujh gai aag to kamre mein dhuan hi rakhna

dil mein ek gosha-e-ehsas-e-ziyan hi rakhna

phir isi rah se milegi nae iblagh ko samt

sher ko dard ka uslub-e-bayan hi rakhna

aah manzar ko ye barfati hui be-safari

sath pighle hue raston ke nishan hi rakhna

kah na sakna bhi bahut kuchh hai riyazat ho agar

zaKHm honTon ke sar-e-ijz-e-bayan hi rakhna

jaise wo saneha lamha bhi zamana bhi hai 'saz'

yaad us shaKHs ke jaane ka saman hi rakhna

(1008) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bujh Gai Aag To Kamre Mein Dhuan Hi Rakhna In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Bujh Gai Aag To Kamre Mein Dhuan Hi Rakhna is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Bujh Gai Aag To Kamre Mein Dhuan Hi Rakhna for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Bujh Gai Aag To Kamre Mein Dhuan Hi Rakhna in PDF.