DaraKHt Ruh Ke Jhume Parind Gane Lage

daraKHt ruh ke jhume parind gane lage

hamein udhar ke manazir nazar bhi aane lage

KHush-amdid ka manzar ghurub-e-sham mein tha

dar-e-shafaq pe farishte se muskurane lage

firaq o wasl ke ma-bain ye saman jaise

udas lai mein koi hamd gungunane lage

main ek saat-e-be-KHud mein chhu gaya tha jise

phir us ko lafz tak aate hue zamane lage

KHabar ke moD pe sang-e-nishan thi be-KHabari

Thikane aae mere hosh ya Thikane lage

muhib raste sarhad ki samt jate hue

zara sa aur chale hum to wo suhane lage

ek apne-ap se milna tha 'saz' jis ke liye

riqabaten huin darkar dostane lage

(957) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

DaraKHt Ruh Ke Jhume Parind Gane Lage In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. DaraKHt Ruh Ke Jhume Parind Gane Lage is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem DaraKHt Ruh Ke Jhume Parind Gane Lage for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download DaraKHt Ruh Ke Jhume Parind Gane Lage in PDF.