Dikhai Dene Ke Aur Dikhai Na Dene Ke Darmiyan Sa Kuchh

dikhai dene ke aur dikhai na dene ke darmiyan sa kuchh

KHayal ki la-makaniyon mein ubhar raha hai makan sa kuchh

koi tayyun koi tayaqqun nazar ko mahdud rakh sake jo

falak se niche bahut hi niche bana hai ek saeban sa kuchh

numu ka tufan tha aafrinash ki zad pe hum tum khaDe the donon

tumhein bhi kuchh yaad aae shayad mujhe to aata hai dhyan sa kuchh

hawaen wabastagi se pur hain faza pe maujudgi hai tari

nawah-e-jaan mein lahak raha hai base-basae jahan sa kuchh

kahin ye manzar mein qaid lamhe kahin ye lamhon mein qaid manzar

rasai ki aazmaishon mein rihai ka imtihan sa kuchh

andhere kaghaz ki wusaton mein kahin kahin raushni ke dhabbe

ye sai-e-tajsim-e-na-bayani ye ishtibah-e-bayan sa kuchh

(1114) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dikhai Dene Ke Aur Dikhai Na Dene Ke Darmiyan Sa Kuchh In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Dikhai Dene Ke Aur Dikhai Na Dene Ke Darmiyan Sa Kuchh is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Dikhai Dene Ke Aur Dikhai Na Dene Ke Darmiyan Sa Kuchh for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Dikhai Dene Ke Aur Dikhai Na Dene Ke Darmiyan Sa Kuchh in PDF.