Har Ek Lamhe Ki Rag Mein Dard Ka Rishta DhaDakta Hai

har ek lamhe ki rag mein dard ka rishta dhaDakta hai

wahan tara larazta hai jo yan patta khaDakta hai

Dhake rahte hain gahre abr mein baatin ke sab manzar

kabhi ek lahza-e-idrak bijli sa kaDakta hai

mujhe diwana kar deti hai apni maut ki shoKHi

koi mujh mein rag-e-izhaar ki surat phaDakta hai

phir ek din aag lag jati hai jangal mein haqiqat ke

kahin pahle-pahal ek KHwab ka shola bhaDakta hai

meri nazren hi mere aks ko majruh karti hain

nigahen murtakiz hoti hain aur shisha taDakta hai

(1055) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek Lamhe Ki Rag Mein Dard Ka Rishta DhaDakta Hai In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Har Ek Lamhe Ki Rag Mein Dard Ka Rishta DhaDakta Hai is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Har Ek Lamhe Ki Rag Mein Dard Ka Rishta DhaDakta Hai for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Har Ek Lamhe Ki Rag Mein Dard Ka Rishta DhaDakta Hai in PDF.