Hasrat-e-did Nahin Zauq-e-tamasha Bhi Nahin

hasrat-e-did nahin zauq-e-tamasha bhi nahin

kash patthar hon nigahen magar aisa bhi nahin

jabr-e-dozaKH nahin firdaus ka nashsha bhi nahin

KHush hain aaraf mein hum aur koi khaTka bhi nahin

ab kisi hur mein baqi nahin ehsas-e-kashish

mere sar par kisi aaseb ka saya bhi nahin

wo to aisa bhi hai waisa bhi hai kaisa hai magar?

kya ghazab hai koi us shoKH ke jaisa bhi nahin

jis ka haq tha ki bane sang-e-malamat ka hadaf

zahe tazhik wo ab shahr mein ruswa bhi nahin

DhunDh kuchh aur hi iblagh ki surat ai 'saz'

sharh o tafsir nahin ramz o kinaya bhi nahin

(1333) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hasrat-e-did Nahin Zauq-e-tamasha Bhi Nahin In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Hasrat-e-did Nahin Zauq-e-tamasha Bhi Nahin is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Hasrat-e-did Nahin Zauq-e-tamasha Bhi Nahin for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Hasrat-e-did Nahin Zauq-e-tamasha Bhi Nahin in PDF.