Hum Apne ZaKHm Kuredte Hain Wo ZaKHm Parae Dhote The

hum apne zaKHm kuredte hain wo zaKHm parae dhote the

jo hum se ziyaada jaante the wo hum se ziyaada rote the

achchhon ko jahan se uTThe hue ab kitni dahaiyan bit chukin

aaKHir mein udhar jo guzre hain shayad un ke par-pote the

in peDon aur pahaDon se in jhilon in maidanon se

kis moD pe jaane chhuT gae kaise yarane hote the

jo shabd uDanen bharte the aazad faza-e-mani mein

yun sher ki bandish mein simTe goya pinjron ke tote the

wo bhige lamhe soch bhare wo jazbon ke chaqmaq kahan

jo misra-e-tar de jate the lafzon mein aag pirote the

ye KHushk qalam banjar kaghaz dikhlaen kise samjhaen kya

hum fasl nirali kaTte the hum bij anokhe bote the

ab 'saz' nashebon mein dil ke bas kichaD kali daldal hai

yan shauq ke Dhalte jharne the yan gham ke ubalte sote the

(1029) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Apne ZaKHm Kuredte Hain Wo ZaKHm Parae Dhote The In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Hum Apne ZaKHm Kuredte Hain Wo ZaKHm Parae Dhote The is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Hum Apne ZaKHm Kuredte Hain Wo ZaKHm Parae Dhote The for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Hum Apne ZaKHm Kuredte Hain Wo ZaKHm Parae Dhote The in PDF.