Jaane Qalam Ki Aankh Mein Kis Ka Zuhur Tha

jaane qalam ki aankh mein kis ka zuhur tha

kal raat mere git ke mukhDe pe nur tha

naghma sa chheDti thin tajalli ki ungliyan

tauret ka nuzul ba-lahn-e-zabur tha

wo sath sath aur pahunchna tha us talak

har aan ek marhala nazdik o dur tha

haibat ke baam par thi bulawe ki raushni

thi waswason ki sham pa jaana zarur tha

har pech koi waqia har moD koi yaad

us ke badan ke sath mera la-shuur tha

ek bhiD mujh se muntazir-e-inkishaf thi

main tha muraqabe mein magar be-huzur tha

(1056) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaane Qalam Ki Aankh Mein Kis Ka Zuhur Tha In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Jaane Qalam Ki Aankh Mein Kis Ka Zuhur Tha is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Jaane Qalam Ki Aankh Mein Kis Ka Zuhur Tha for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Jaane Qalam Ki Aankh Mein Kis Ka Zuhur Tha in PDF.