Jo Kuchh Bhi Ye Jahan Ki Zamane Ki Ghar Ki Hai

jo kuchh bhi ye jahan ki zamane ki ghar ki hai

rudad ek lamha-e-wahshat-asar ki hai

phir dhaDkanon mein guzre huon ke qadam ki chap

sanson mein ek ajib hawa phir udhar ki hai

phir dur manzaron se nazar ko hai wasta

phir in dinon faza mein hikayat safar ki hai

pahli kiran ki dhaar se kaT jaenge ye par

izhaar ki uDan faqat raat bhar ki hai

idrak ke ye dukh ye azab aagahi ke dost!

kis se kahen KHata nigah-e-KHud-nigar ki hai

wo an-kahi si baat suKHan ko jo pur kare

'saz' apni shaeri mein kami us kasar ki hai

(971) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Kuchh Bhi Ye Jahan Ki Zamane Ki Ghar Ki Hai In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Jo Kuchh Bhi Ye Jahan Ki Zamane Ki Ghar Ki Hai is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Jo Kuchh Bhi Ye Jahan Ki Zamane Ki Ghar Ki Hai for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Jo Kuchh Bhi Ye Jahan Ki Zamane Ki Ghar Ki Hai in PDF.