Kabhi Numayan Kabhi Tah-nashin Bhi Rahte Hain

kabhi numayan kabhi tah-nashin bhi rahte hain

yahin pe rahte hain hum aur nahin bhi rahte hain

bhaTakti nazron mein hain murtakiz nigahen bhi

guman-kadon mein kuchh ahl-e-yaqin bhi rahte hain

agarche hum ko muqaddam hai rah-e-KHidmat-e-KHalq

jo baz aae to apne tain bhi rahte hain

baja shawahid o mantiq qubul bahs o dalil

pa hum KHata-e-nazar ke qarin bhi rahte hain

hijab fikr-o-nazar ke uTha ke dekho to

hamare fan mein kai naznin bhi rahte hain

shabahaten si ghubar-e-had-e-nigah mein hain

pas-e-falak kahin ahl-e-zamin bhi rahte hain

tum apne Thor-Thikanon ko yaad rakkho 'saz'

hamara kya hai ki hum to kahin bhi rahte hain

(894) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Numayan Kabhi Tah-nashin Bhi Rahte Hain In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Kabhi Numayan Kabhi Tah-nashin Bhi Rahte Hain is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Kabhi Numayan Kabhi Tah-nashin Bhi Rahte Hain for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Kabhi Numayan Kabhi Tah-nashin Bhi Rahte Hain in PDF.