KHarab-e-dard Hue Gham-parastiyon Mein Rahe

KHarab-e-dard hue gham-parastiyon mein rahe

KHushi ki khoj bahana thi mastiyon mein rahe

hua husul-e-zar-e-fan baDi kashakash se

hum ek umr ajab tang-dastiyon mein rahe

har ek se jhuk ke mile yun ki sarfaraaz hue

chaTan jaise KHamida si pastiyon mein rahe

chubhan ki naw mein pur ki KHalij rishton ki

ajab mazaq se hum ghar girhastiyon mein rahe

kitaben chehre manazir tamam baada-kade

bataen kya ki baDi mai-parastiyon mein rahe

masafaten thin shab-e-fikr kin zamanon ki

kahan kahan gae hum kaisi hastiyon mein rahe

KHulus-e-fikr ki galiyon mein ghumte tanha

hum apne sher ki aabaad bastiyon mein rahe

(936) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHarab-e-dard Hue Gham-parastiyon Mein Rahe In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. KHarab-e-dard Hue Gham-parastiyon Mein Rahe is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem KHarab-e-dard Hue Gham-parastiyon Mein Rahe for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download KHarab-e-dard Hue Gham-parastiyon Mein Rahe in PDF.