Khile Hain Phul Ki Surat Tere Visal Ke Din

khile hain phul ki surat tere visal ke din

tere jamal ki raaten tere KHayal ke din

nafas nafas nai tahdariyon mein zat ki khoj

ajab hain tere badan tere KHadd-o-KHal ke din

ba-zauq-e-sher ba-jabr-e-maash yakja hain

mere uruj ki raaten mere zawal ke din

KHarid baiThe hain dhoke mein jins-e-umr-e-daraaz

hamein dikhae the maktab ne kuchh misal ke din

na hadse na tasalsul na rabt-e-umr kahin

bikhar ke rah gae lamhon mein mah-o-sal ke din

main baDhte baDhte kisi roz tujh ko chhu leta

ki gin ke rakh diye tu ne meri majal ke din

ye tajrabaat ki wusat ye qaid-e-saut-o-sada

na puchh kaise kaDe hain ye arz-e-haal ke din

(987) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khile Hain Phul Ki Surat Tere Visal Ke Din In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Khile Hain Phul Ki Surat Tere Visal Ke Din is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Khile Hain Phul Ki Surat Tere Visal Ke Din for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Khile Hain Phul Ki Surat Tere Visal Ke Din in PDF.