Khuli Jab Aankh To Dekha Ki Duniya Sar Pe Rakkhi Hai

khuli jab aankh to dekha ki duniya sar pe rakkhi hai

KHumar-e-hosh mein samjhe the hum Thokar pe rakkhi hai

taaruf ke tale pahchan ghaeb ho gai apni

ajab jadu ki Topi hum ne apne sar pe rakkhi hai

mere hone ka ye tasdiq-nama kis ne likkha hai

gawahi kis ki meri zat ke mahzar pe rakkhi hai

achanak gar wo be-amad hi kamre mein baramad ho

tawajjoh hum ne to markuz baam-o-dar pe rakkhi hai

ajab collage hai qismat ka mahrumi ka mehnat ka

sitare chhat pe rakkhe hain thakan bistar pe rakkhi hai

mata-e-haq-aqida ek sajde mein chura laya

KHirad juya thi kis dahliz par kis dar pe rakkhi hai

nahin qaul-o-qarar-e-jaan-o-dil kafi na the us ko

qasam us shoKH ne aaKHir hamare sar pe rakkhi hai

hisab-e-nek-o-bad jo bhi ho hum itna samajhte hain

bina-e-hashr dard-e-dil pe chashm-e-tar pe rakkhi hai

(1092) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khuli Jab Aankh To Dekha Ki Duniya Sar Pe Rakkhi Hai In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Khuli Jab Aankh To Dekha Ki Duniya Sar Pe Rakkhi Hai is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Khuli Jab Aankh To Dekha Ki Duniya Sar Pe Rakkhi Hai for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Khuli Jab Aankh To Dekha Ki Duniya Sar Pe Rakkhi Hai in PDF.