Lafz Ka Dariya Utra Dasht-e-maani Phaila

lafz ka dariya utra dasht-e-maani phaila

misra-e-ula hi mein misra-e-sani phaila

kahin chhupa hota hai dawam kisi lamhe mein

yun to hai sadiyon pe jahan-e-fani phaila

danai ki duniya tang hai pechida hai

ya-rab kuchh aasani kar nadani phaila

daman-e-tar hi mein to hai ashkon ki nami bhi

rahne de dharti par yunhi pani phaila

manfaten hi darj hain sab ki fard-e-amal mein

waraq kushada kar thoDi nuqsani phaila

kirdaron ki pahchanen gum hone lagi hain

mere lekhak itna bhi na kahani phaila

(989) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lafz Ka Dariya Utra Dasht-e-maani Phaila In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Lafz Ka Dariya Utra Dasht-e-maani Phaila is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Lafz Ka Dariya Utra Dasht-e-maani Phaila for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Lafz Ka Dariya Utra Dasht-e-maani Phaila in PDF.