Meri Aankhon Se Guzar Kar Dil O Jaan Mein Aana

meri aankhon se guzar kar dil o jaan mein aana

jism mein Dhal ke meri ruh-e-rawan mein aana

kho na jaana meri jaan sarhad-e-jaan tak aa ke

qurb ka pas liye buad-e-karan mein aana

main tere husn ko ranai-e-mani de dun

tu kisi shab mere andaz-e-bayan mein aana

sath chalne ko rafiq-e-rah-e-duniya hain bahut

tu mere sath mere apne jahan mein aana

la-makan sher ki bandish mein simaTna pal bhar

aasman aaina-e-ab-e-rawan mein aana

ishq ne dekh liye husn mein aafaq tamam

ek sakte ka wo umr-e-guzran mein aana

zinat-e-dast-e-hinai hai yahi duzd-e-hina

ghaib ka maraza-e-waqt-o-makan mein aana

tishna-e-nur meri fikr ke mahtab o nujum

mere KHurshid meri kahkashan mein aana

(1149) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Aankhon Se Guzar Kar Dil O Jaan Mein Aana In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Meri Aankhon Se Guzar Kar Dil O Jaan Mein Aana is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Meri Aankhon Se Guzar Kar Dil O Jaan Mein Aana for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Meri Aankhon Se Guzar Kar Dil O Jaan Mein Aana in PDF.