Meri Jholi Mein Wo Lafzon Ke Moti Dal Deta Hai

meri jholi mein wo lafzon ke moti Dal deta hai

siwae is ke kuchh mangun to hans kar Tal deta hai

sujhata hai wahi rasta bhi un se bach nikalne ka

jo in aaankhon ko KHwabon ke sunahre jal deta hai

mera ek karobar-e-jazba-o-alfaz hai us se

mere jazbon ko pighla kar wo misre Dhaal deta hai

haqiqat ghol rakhta hai wo rumanon ke pani mein

manazir Thos deta hai nazar sayyal deta hai

utar aata hai wo shoKHi pe yun bhi mehrbani ki

mere ek sher ki mohlat ko mah o sal deta hai

(1257) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Jholi Mein Wo Lafzon Ke Moti Dal Deta Hai In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Meri Jholi Mein Wo Lafzon Ke Moti Dal Deta Hai is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Meri Jholi Mein Wo Lafzon Ke Moti Dal Deta Hai for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Meri Jholi Mein Wo Lafzon Ke Moti Dal Deta Hai in PDF.