Nazar Aasuda-kaam-e-raushni Hai

nazar aasuda-kaam-e-raushni hai

mere aage sarab-e-agahi hai

zamanon ko mila hai soz-e-izhaar

wo saat jab KHamoshi bol uThi hai

hansi si ek lab-e-zauq-e-nazar par

shafaq-zar-e-tahayyur ban gai hai

zamane sabz o surKH o zard guzre

zamin lekin wahi KHakistari hai

pighalta ja raha hai sara manzar

nazar tahlil hoti ja rahi hai

dhundlakon ko andhere chaT lenge

ki aage ahd-e-marg-e-raushni hai

bikharte karwan ye irtiqa ke

sarasima sa zauq-e-zindagi hai

main dekhun to dikha dunga tumhein 'saz'

abhi mujh mein basirat ki kami hai

(935) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Aasuda-kaam-e-raushni Hai In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Nazar Aasuda-kaam-e-raushni Hai is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Nazar Aasuda-kaam-e-raushni Hai for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Nazar Aasuda-kaam-e-raushni Hai in PDF.