Sabaq Umr Ka Ya Zamane Ka Hai

sabaq umr ka ya zamane ka hai

sab aamoKHta bhul jaane ka hai

ye gum hote chehre ye manzar ye gard

saman raat din yan se jaane ka hai

ruke hain ki Tuk dekh len soch len

tawaqquf takalluf bahane ka hai

ye sadiyon ka mohkam munazzam sukut

tilism ek chuTki bajaane ka hai

mahak sans sabza-e-qabr ki

kinaya sa jaise bulane ka hai

wazahat na qurbat ki kije talab

ki ye silsila dur jaane ka hai

qafas mein mere zehan ke muztarib

ye tinka tere aashiyane ka hai

alag ek kahani sa lagta idhar

tasalsul udhar ke fasane ka hai

gae din samajhne parakhne ke 'saz'

ye mausam to bas man jaane ka hai

(1150) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sabaq Umr Ka Ya Zamane Ka Hai In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Sabaq Umr Ka Ya Zamane Ka Hai is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Sabaq Umr Ka Ya Zamane Ka Hai for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Sabaq Umr Ka Ya Zamane Ka Hai in PDF.