Mutazad Zawiye

aur bisat-e-KHayal be-payan

aur muayyan hudud-e-sharh-o-bayyan

tez-raftar gardish-e-haalat

aur aahistagi-e-umr rawan

ajnabiyyat ka mustaqil ek bojh

aur shanasaiyon ka bar-e-giran

aql ki KHami narasi dil ki

aur tasawwur-shikan haqiqat-e-jaan

muKHtalif har wajud pesh-e-nazar

aur imkan-e-wahdat-e-imkan

fikr uqda-kushaiyon pe musir

aur sar-rishte hi ka KHud fuqdann

intiha silsilon ki na-malum

aur har lamha silsila-e-jumban

mutawatir marahil-e-talim

aur musalsal madarij-e-nisyan

shoba-ha-e-KHayal be-tamiz

aur bahr-e-shanaKHt mohr-o-nishan

chaar jaanib sarahton ka hujum

aur bahr-e-rumuz be-payan

sail-e-bairun rawan ba-tarz-e-digar

aur ju-e-andarun alag si rawan

ek khoi hui fazae-hayat

aur ehsas-o-fikr sab ghaltan

aur sanson ki rahguzar pe hujum

aur aankhon ki rahguzar viran

(1205) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mutazad Zawiye In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Mutazad Zawiye is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Mutazad Zawiye for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Mutazad Zawiye in PDF.