KHayal-e-KHatir-e-ahbab

salam mere rafiqon ko ham-nashinon ko

sapaT chehron ko be-mehr-o-lutf sinon ko

koi habib-e-masarrat na koi munis-e-gham

na dil mein josh na yara-e-dard sinon ko

koi farogh na koi numu ki yaron ne

rakha hai kar ke musattah tamam zinon ko

mila na haif! ghul-arai ka mizaj kabhi

mere KHulus ke KHirman ke KHosha-chinon ko

falak ne zinat-e-nisyan bana ke chhoD diya

rusum-e-lutf ko dil-jui ke qarinon ko

gharaz ki tund hawaon ne kar diya banjar

wafa ki kisht ko isar ki zaminon ko

shikasta kar diya badli nazar ke tufan ne

KHud-e'timadi ke Dhaale hue safinon ko

nazar mein kaj-nigahi lab pe maslahat-goi

KHutut-e-ruKH ne ubhaara hai dil ke kinon ko

KHilaf-e-waza ho bhule se gar ye sher-e-'anis'

sunae 'saz' koi mere ham-nashinon ko

KHayal-e-KHatir-e-ahbab chahiye har dam!

'anis' Thes na lag jae aabginon ko!

(1593) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHayal-e-KHatir-e-ahbab In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. KHayal-e-KHatir-e-ahbab is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem KHayal-e-KHatir-e-ahbab for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download KHayal-e-KHatir-e-ahbab in PDF.