Intizar Baqi Hai

kanpti hain honTon par

kitni an-kahi baaten

gunjte hain kanon mein

kitne an-sune naghme

jhankte hain palkon se

ungliyon ke poron tak

KHwab kitne an-dekhe

lams an-chhue kitne

nam hai talab jis ka

mustaqil hararat hai

hasrat-o-tamanna ke

aansuon se nam lekin

an-bujhe shararon ki

daimi masafat hai

be-bas aarzuon se

dard ki rasai tak

qaid se rihai tak

dhaDkanon ki sarhad ke

us taraf bhi imkan hai

jaan-o-tan se bahar bhi

zindagi farozan hai

aankh jam bhi jae to

sans tham bhi jae to

dil ke tah-nashin jazbe

ruh mein panapte hain

umr sirf mohlat hai

ishq lamha-e-daem

e'tibar baqi hai

mera gham salamat hai

tera husn hai qaem

intizar baqi hai

(1258) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Intizar Baqi Hai In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Intizar Baqi Hai is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Intizar Baqi Hai for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Intizar Baqi Hai in PDF.