Nani-aman Ki Wafat Par Ek Nazm

aaj bachpan ko dafn kar aae

mohni jhurriyan subuk aankhen

mehrban shafqaton se pur chehra

thapkiyan dete hath narm aaghosh

chahaten dekh-bhaal pyar dular

sare kumbe ki fikr sab ka KHayal

rabte rishte-dariyan nate

KHatiren waza-dariyan mehman

martabe haisiyat hisab-nisab

nazm-o-tartib ghar ke iKHrajat

maut mayyat byah paidaish

taziyat tahniyat ke chaal-chalan

chhuTTi aashura id aur baraat

har baDe chhoTe din ka pas-o-lihaz

roze naflen wazife tasbihen

sadqa minnat murad pir-faqir

KHair-KHairaat baKHshishen nazren

lag-lag len-den mel-milap

puchh-gachh rakh-rakhaw rit-riwaj

raunaqen KHush-kalamiyan aadab

raat qisse kahaniyan chuhlen

mez almari pandan palang

zaiqe rang KHushbuen chehre

in mohallon ka KHushnuma mahaul

in gharon ki riwayati tahzib

aaj ek daur jaise Dub gaya

aaj tifli ka sath chhuT gaya

aaj bachpan ko dafn kar aae

(4012) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nani-aman Ki Wafat Par Ek Nazm In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Nani-aman Ki Wafat Par Ek Nazm is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Nani-aman Ki Wafat Par Ek Nazm for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Nani-aman Ki Wafat Par Ek Nazm in PDF.