Pas-e-taqrib-e-mulaqat

pas-e-taqrib-e-mulaqat yahan sham Dhale

der tak phaili rahegi teri shirkat ki mahak

mutarannim se rahenge ye hawa ke goshe

jin mein ghaltida hai ab lahn-e-takallum tera

raat bhar phaili rahegi ye tassur ki shafaq

jazb hai jis mein dil-awez tabassum tera

yaad rah jaegi is sehn ko ye sham-e-fusun

jal gai thin kai an-dekhi suhani shamen

lau sa de uTTha tha mahaul tere aane ka

chha gaya tha dar-o-diwar pe wo partaw-e-rang

jaise maKHuz hon lamhe kisi afsane se

chhoD jaega wahi narm kasak phir dil mein

jis se shadab hai muddat se mera zauq-e-talab

aaj taqrib mein ye tarz-e-mulaqat tera

be-niyazana taKHatub mein pareshan sa tere

gosha-e-lab pe koi harf shanasai ka

tamkanat wali adaon mein anokha sa niyaz

mujtanib aankhon mein ek aks pazirai ka

aam mauzu-e-suKHan mein bhi ayan lahja-e-KHas

zehn ki baat mein bhi dil ki dhamak ka ehsas

ek tahum sa kisi ghamza-e-ghaltida mein

ek manus sa KHam kakul-e-paichida mein

tujh se ye rabt ki mauhum bhi mafhum bhi hai

tu ki hai mujh se teri zist ka har rang juda

sharh-e-haalat alag umr ka aahang siwa

pahle hi rah mein hael hai KHalij-e-aqdar

tu ne tabinda bhi rakkha hai tera KHatt-e-hisar

phir bhi ek qurb ki KHushbu hai faza mein bedar

ye rah-o-rasm jo izhaar-e-mohabbat bhi nahin

hai tere dam se ye rahat ki jo rahat bhi nahin

gham-e-be-nam tere nam se mausum bhi hai

husn se rabta-e-ishq ke mazmun hain bahut

is latafat-kada-e-kaif mein afsun hain bahut

na tere jism ka sandal na tere lab ke gulab

na teri zulf ki shabnam hai is ehsas ka nam

yun to is sham ka paikar bhi hai tera ye jamal

is shanasai ka unwan hai faqat nikhat-e-sham

chashm-e-hamdam ki ata-karda ye aasaish-e-did

mehrban husn ka baKHsha hua ye izn-e-kalam

aaj phir jagti rah jaegi har baam tale

wahi shadab si hasrat wahi aasuda kasak

der tak phaili rahegi teri shirkat ki mahak

pas-e-taqrib-e-mulaqat yahan sham Dhale

(1198) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pas-e-taqrib-e-mulaqat In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Pas-e-taqrib-e-mulaqat is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Pas-e-taqrib-e-mulaqat for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Pas-e-taqrib-e-mulaqat in PDF.