ShaKHsiyyat Ki Mausiqi

wo qubul-surat si

sanwli bhali aurat

thoDa ruk ke dekhen to

kitni KHubsurat hai

us ke narm lahje mein

us ki soch ki KHushbu

us ke zauq-e-poshish mein

halke halke rangon ke

intiKHab ka jadu

fikr ki jawan kirnen

us ki rup-rekhaen

ankhDiyon mein kuchh KHake

muztarib KHayalon ke

ungliyon mein rachnaen

naghma-e-takallum mein

zer-o-bam kai ghaltan

zarf aur zarafat ke

zer-e-lab tabassum se

khul ke muskurane tak

pech-o-KHam kai larzan

iKHtiyar-o-adat ke

sadgi mein chehre ki

shama ek farozan si

aanch dard-mandi ki

lau kisi bulandi ki

junbish-e-rawish us ki

narm-gam o aahista

ek jahan-e-ranai

har nigah-e-shaista

kaif mein latafat ke

tez hissiyat shamil

tegh se zehanat ki

us ki har ada qatil

wo qubul-surat si

sanwli bhali aurat

thoDa ruk ke dekhen to

kitni KHubsurat hai!

(1116) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ShaKHsiyyat Ki Mausiqi In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. ShaKHsiyyat Ki Mausiqi is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem ShaKHsiyyat Ki Mausiqi for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download ShaKHsiyyat Ki Mausiqi in PDF.