Jabin-e-shauq Ko Kuchh Aur Bhi Izn-e-saadat De

jabin-e-shauq ko kuchh aur bhi izn-e-saadat de

ki zauq-e-zindagi mahdud sang-e-astan tak hai

nawed-e-rustagari par abas dil-shad hota hai

abhi sad dam ai bulbul-e-qafas se aashiyan tak hai

ye ehsas-e-talluq mujh ko miTne bhi nahin deta

ki teri dastan ka rabt meri dastan tak hai

tarana chheD wo mutrib ki ruh-e-ishq chaunk uTThe

KHarosh-e-nala-e-gham kya jo soz-e-jism-o-jaan tak hai

sarapa aarzu ban kar kamal-e-muddaa ho ja

wo nang-e-ishq hai jo aarzu aah-o-fughan tak hai

zamana chahiye takmil-e-zauq-e-lazzat-e-gham ko

abhi duniya-e-dil mahdud zikr-e-in-o-an tak hai

bayaban-e-mohabbat ki nawazish puchhna kya hai

ummid-o-bim ki haalat faqat sud-o-ziyan tak hai

kahan se laegi duniya hamari himmaten 'asi'

mohabbat mein qadam apna faqat kaun-o-makan tak hai

(1024) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jabin-e-shauq Ko Kuchh Aur Bhi Izn-e-saadat De In English By Famous Poet Abdul Aleem Aasi. Jabin-e-shauq Ko Kuchh Aur Bhi Izn-e-saadat De is written by Abdul Aleem Aasi. Read famous Poem Jabin-e-shauq Ko Kuchh Aur Bhi Izn-e-saadat De for youth and Student by Abdul Aleem Aasi. Free Download Jabin-e-shauq Ko Kuchh Aur Bhi Izn-e-saadat De in PDF.