Kabhi Ai Haqiqat-e-dilbari SimaT Aa Nigah-e-majaz Mein

kabhi ai haqiqat-e-dilbari simaT aa nigah-e-majaz mein

ki taDap rahe hain hazaron dil rah-e-ishq-e-sina-gudaz mein

ye kashish ye jazb ye moajiza nigah-e-yatim-e-hijaz mein

ki paDe the saikDon ghaznawi bhi jahan libas-e-majaz mein

faqat ek nuqta gunah ka sar-e-charKH abr-e-siyah bana

nazar aain mujh ko jo wusaten teri afw-e-banda-nawaz mein

ye nahin ki hum mein nahin hain wo ye nahin ki ain hami hain wo

magar ek haqiqat-e-manawi hai nihan libas-e-majaz mein

na ana ghalat tha na haq-e-ghalat magar itni si ghalati hui

ye jo raaz tha use chahiye tha chhupana parda-e-raaz mein

jise pi ke pir bane jawan jise pi ke chiKH uThe jawan

ye wo mai hai saqi-e-mai-kashan teri chashm-e-baada-nawaz mein

(1157) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Ai Haqiqat-e-dilbari SimaT Aa Nigah-e-majaz Mein In English By Famous Poet Abdul Aleem Aasi. Kabhi Ai Haqiqat-e-dilbari SimaT Aa Nigah-e-majaz Mein is written by Abdul Aleem Aasi. Read famous Poem Kabhi Ai Haqiqat-e-dilbari SimaT Aa Nigah-e-majaz Mein for youth and Student by Abdul Aleem Aasi. Free Download Kabhi Ai Haqiqat-e-dilbari SimaT Aa Nigah-e-majaz Mein in PDF.