Us Se Ummid-e-wafa Ai Dil-e-nashad Na Kar

us se ummid-e-wafa ai dil-e-nashad na kar

zindagi apni is arman mein barbaad na kar

gila-e-zaur na kar shikwa-e-bedar na kar

zulm sahne ka maza ye hai ki fariyaad na kar

KHalwat-e-dil hai tere aa ke Thaharne ki jagah

teri marzi use barbaad kar aabaad na kar

baghban tak mein hai ghat mein sayyaad hai dekh

sair-e-gulshan abhi ai bulbul-e-nashad na kar

kuchh taDapne ka sisakne ka maza lene de

itni tajil mere qatl mein jallad na kar

ab mujhe taqat-e-parwaz nahin ai sayyaad

rahne de qaid qafas se mujhe aazad na kar

upri dil se sahi kuchh to tasalli ho jae

saf inkar se zalim mujhe nashad na kar

dar-e-mahbub tak ai baKHt mujhe pahuncha de

aur kuchh us se siwa tu meri imdad na kar

be-dhaDak jaan sabhi ahl-e-wafa dete hain

tu faqat midhat-e-jabazi-e-farhad na kar

gham-e-dildar ne rag rag ka lahu chus liya

mujh se ab chheD tu ai nashtar-e-faulad na kar

lakh dushwar sahi zabt-e-fughan ai bulbul

magar ek uf bhi to be-marzi-e-sayyaad na kar

sadma-e-hijr ke shikwon pe wo bole shab-e-wasl

gai guzri hui baaton ko tu ab yaad na kar

ai dil us shoKH ki taswir tasawwur mein to khinch

kaam mani se na rakh minnat-e-bahzad na kar

'asi'-e-be-sar-o-saman ko paDa rahne de

apne kuche se uTha kar use nashad na kar

(1171) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Se Ummid-e-wafa Ai Dil-e-nashad Na Kar In English By Famous Poet Abdul Aleem Aasi. Us Se Ummid-e-wafa Ai Dil-e-nashad Na Kar is written by Abdul Aleem Aasi. Read famous Poem Us Se Ummid-e-wafa Ai Dil-e-nashad Na Kar for youth and Student by Abdul Aleem Aasi. Free Download Us Se Ummid-e-wafa Ai Dil-e-nashad Na Kar in PDF.