Meri Main Jashn-e-shab-e-munawwar

ghar ai dil-e-be-qarar zindan se kam nahin qaid kaun kaTe

hasin sarma ka chand diwana-war ko bula raha hai

fusun-e-mahtab ki qasam hai phir aaj shab kuchh na likh sakunga

phir aaj ghar mein na rah sakunga

ki ek junun sa hai mujh pe tari

manazir-e-koh-o-kunj jashn-e-shab-e-munawwar mana rahe hain

bula rahe hain mujhe mere waste qayamat uTha rahe hain

ghazab ki us barf-basta ThanDi hawa mein sailab chandni ka

badan to hai munjamid ragon mein lahu magar tamtama raha hai

bala ki hai sard raat lekin main aaj aawargi karunga

ki chand wadi ke zarre zarre ko jalwa-KHana bana raha hai

na ruk sakunga main aaj ghar mein

ki chandni ki kashish ghazab hai

safina-e-shauq-o-sher duniya-e-nur mein Dagmaga raha hai

sukut-e-shab mein faza bhi juzw-e-sukut-e-shab ho gai hai 'fitrat'

mah-e-daraKHshan faqat ghazal meri zer-e-lab gunguna raha hai

main aaj ghar par na ruk sakunga

hasin sarma ka chand ishaaron se dekh mujh ko bula raha hai

(1032) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Main Jashn-e-shab-e-munawwar In English By Famous Poet Abdul Aziz Fitrat. Meri Main Jashn-e-shab-e-munawwar is written by Abdul Aziz Fitrat. Read famous Poem Meri Main Jashn-e-shab-e-munawwar for youth and Student by Abdul Aziz Fitrat. Free Download Meri Main Jashn-e-shab-e-munawwar in PDF.