Hon Kyun Na Munkashif Asrar Past-o-baala Ke

hon kyun na munkashif asrar past-o-baala ke

jame hain panw zamin par sar aasman ko chhue

jo sarnawisht mein hai us ko ho ke rahna hai

to kis bharose pe insan jidd-o-jahd kare

ab aasman se sahife nahin utarte magar

khula hua hai dar-e-ijtihad sab ke liye

zaban ata kare sher un ki be-zabani ko

jo apne karb ka izhaar kar nahin sakte

bahaar-o-bahjat-o-izz-o-waqar us pe nisar

zaban se mal se jaan se jo zalimon se laDe

hai aansuon mein shifa kaisi kya KHabar us ko

bahae makr se jo jhuT-muT ke Taswe

hai bas-ki kaam hum aison ka bhi masihai

hum aasman pe zinda uThae jaenge

(1075) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hon Kyun Na Munkashif Asrar Past-o-baala Ke In English By Famous Poet Abdul Aziz Khalid. Hon Kyun Na Munkashif Asrar Past-o-baala Ke is written by Abdul Aziz Khalid. Read famous Poem Hon Kyun Na Munkashif Asrar Past-o-baala Ke for youth and Student by Abdul Aziz Khalid. Free Download Hon Kyun Na Munkashif Asrar Past-o-baala Ke in PDF.