Main Baat Kaun Se Paira-e-bayan Mein Karun

main baat kaun se paira-e-bayan mein karun

jo sochta hun use kis zaban mein likkhun

katar diye hain zamane ne pankh KHwabon ke

bhara hai saghar-e-hasrat mein aarzuon ka KHun

nahin hai kushta-e-KHuban ka KHun-baha koi

ai ahl-e-shauq na khao fareb-e-harf-e-fusun

kabhi hai chand ka haala naqab-e-lala kabhi

anile rang dikhati hai zulf-e-ghaaliya-gun

zimam-e-rahila-e-dil KHirad ke hath mein do

ki marti hai hawas is nawah mein shab-KHun

ab is ko KHana-KHarabi kaho ki mamuri

zamin mein sath KHazane ke dhans gaya qarun

banu-tamim ho tum mein salama-bin-jindal

bila-jawaz tumhaari sana main kaise karun

parindgan-e-bayaban karen wasila jise

main us amin ke KHirman ke KHosha-chinon mein hun

shahid-e-ilm bhi hun zinda-e-mohabbat bhi

ba-faiz-e-zauq-e-salim o tabiat-e-mauzun

sharik-e-zumra-e-mehnat-kashan hai shaer bhi

bahae-sadr-e-nafas KHun-chakan hai ek mazmun

anaDi-pan na kaho meri sada-lauhi ko

hun nau-niyaz magar kohna-mashq jazb-o-junun

bala-e-jabr bhi hai pa-e-iKHtiyar bhi hai

qusur-war hun main ya sada-e-kun-fayakun

wara-e-farra-e-farhang dekho rang-e-suKHan

abul-kalam nahin main abul-maani hun

(1055) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Baat Kaun Se Paira-e-bayan Mein Karun In English By Famous Poet Abdul Aziz Khalid. Main Baat Kaun Se Paira-e-bayan Mein Karun is written by Abdul Aziz Khalid. Read famous Poem Main Baat Kaun Se Paira-e-bayan Mein Karun for youth and Student by Abdul Aziz Khalid. Free Download Main Baat Kaun Se Paira-e-bayan Mein Karun in PDF.