Phuli Hai Shafaq Go Ki Abhi Sham Nahin Hai

phuli hai shafaq go ki abhi sham nahin hai

hai dil mein wo gham jis ka koi nam nahin hai

kis ko nahin kotahi-e-qismat ki shikayat

kis ko gila-e-gardish-e-ayyam nahin hai

aflak ke sae tale aisa bhi hai koi

jo said-e-zabun maya-e-alam nahin hai

chhilkon ke hain ambar magar maghz nadarat

duniya mein musalman to hain islam nahin hai

iman nahin momin ka mukafat-e-amal par

ummid-e-karam kya tama-e-KHam nahin hai

masjid ho KHarabaat ho ya ku-e-butan ho

is qalb-e-tapan ko kahin aaram nahin hai

ai mah-wisho lala-ruKHo wasl ki hum ko

KHwahish to hai be-shak magar ibram nahin hai

kaifi hain mai-e-nab-e-KHum-e-mehr-shuda ke

hum ko talab-e-durd-e-tah-e-jam nahin hai

lafzon ke dar-o-bast pe har-chand ho qadir

shaer nahin jo sahab-e-ilham nahin hai

har baat hai 'KHalid' mein pasandida o matbu

ek pairwi-e-rasm-o-rah-e-am nahin hai

(1586) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phuli Hai Shafaq Go Ki Abhi Sham Nahin Hai In English By Famous Poet Abdul Aziz Khalid. Phuli Hai Shafaq Go Ki Abhi Sham Nahin Hai is written by Abdul Aziz Khalid. Read famous Poem Phuli Hai Shafaq Go Ki Abhi Sham Nahin Hai for youth and Student by Abdul Aziz Khalid. Free Download Phuli Hai Shafaq Go Ki Abhi Sham Nahin Hai in PDF.