Qaza Se Qarz Kis Mushkil Se Li Umr-e-baqa Humne

qaza se qarz kis mushkil se li umr-e-baqa hum ne

mata-e-zindagi de kar kiya ye qarz ada hum ne

hamein kis KHwab se lalchaegi ye pur-fusun duniya

khurach Dala hai lauh-e-dil se harf-e-muddaa hum ne

karen lab ko na aaluda kabhi harf-e-shikayat se

shiar apna banaya shewa-e-sabr-o-raza hum ne

hum us ke hain sarapa adbada kar us se kya mangen

uThaya hai kabhi ai muddai dast-e-dua hum ne

shahidan-e-wafa ki manqabat likhte rahe lekin

na ki arzi KHudaon ki kabhi hamd-o-sana hum ne

parakhne wale parkhenge isi mear par hum ko

jahan se kya liya hum ne jahan ko kya diya hum ne

wahi insan jahan jao wahi hirman jidhar dekho

bapa-e-KHufta ki sayyahi-e-mulk-e-KHuda hum ne

luTa zauq-e-safar bhi karwan ka aise lagta hai

suna har taza pesh-ahang ka shor-e-dara hum ne

sitam-arao sun lo aaKHiri bardasht ki had tak

saha har na-rawa hum ne suna har na-saza hum ne

ye duzdida nigahen hain ki dil lene ki rahen hain

hamesha dida-o-danista khai hai KHata hum ne

kashakash hum se puchhe koi na-asuda KHwahish ki

hasinon se bahut bandhe hain paiman-e-wafa hum ne

kiya takmil-e-naqsh-e-na-tamam-e-shauq ki KHatir

jau tum se ho saka tum ne jau hum se ho saka hum ne

'iraqi' ki tarah 'KHalid' ko kyun badnam karte hain

na dekha koi aisa KHush-nawاa-e-benawa hum ne

(1324) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qaza Se Qarz Kis Mushkil Se Li Umr-e-baqa Humne In English By Famous Poet Abdul Aziz Khalid. Qaza Se Qarz Kis Mushkil Se Li Umr-e-baqa Humne is written by Abdul Aziz Khalid. Read famous Poem Qaza Se Qarz Kis Mushkil Se Li Umr-e-baqa Humne for youth and Student by Abdul Aziz Khalid. Free Download Qaza Se Qarz Kis Mushkil Se Li Umr-e-baqa Humne in PDF.