Qurb Nas Nas Mein Aag Bharta Hai

qurb nas nas mein aag bharta hai

wasl se iztirab baDhta hai

main faqat ek KHwab tha tera

KHwab ko kaun yaad rakhta hai

aaj ki shab shab-e-qayamat hai

dil mera be-tarah dhaDakta hai

faqr kya hai ba-dost pewastan

gham ka irfan hai aagahi kya hai

main milata hun sher-o-atish ko

fan mujhe kimiya ka aata hai

tosha-e-rah-e-ishq hai andoh

gham dilon ko qarib lata hai

sher-e-taza hai tohfa-e-shaer

mushk-e-nafa hiran ne ugla hai

qillat-e-kulfat-o-takalluf mein

rahat-e-qalb-e-na-shakeba hai

aish-e-na-paedar par nazan

aadmi kitna bhola-bhaala hai

jaan ka sarfa ho to ho lekin

sarf karne se ilm baDhta hai

kise pas-e-maraatib-e-alfaz

hashr-e-mani se qatl barpa hai

pa ke ghafil kahin na Das le tumhein

Daro us se jo tum se Darta hai

maqsad isbaat-e-zat hai us se

kya gale ka sabab bhi hota hai

sachche taKHliq-kar ki manind

unghta hai KHuda na sota hai

aab-o-rang-e-hayat hai us se

aarzu jagton ka sapna hai

mere maula-karim ne mujh ko

ghair-matbua zehn baKHsha hai

yun lage jaise parda-e-simin

aankh kya ruh ka daricha hai

kis ne dekha hai parda-e-zulmat

dil ke bhedon ko kis ne paya hai

kaun mar kar dobara zinda hua

kaun mulk-e-fana se lauTa hai

kar ke yaksar mujhe nazar-andaz

kis se dil ham-kalam rahta hai

bawajud-e-fishaar-e-shab hama-shab

husn har subh taza hota hai

har bun-e-mu bana hai parda-e-saz

dil ke taron ko kis ne chheDa hai

baat abdul-aziz-'KHalid' ki

dastan-e-amir-hamza hai

(1234) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qurb Nas Nas Mein Aag Bharta Hai In English By Famous Poet Abdul Aziz Khalid. Qurb Nas Nas Mein Aag Bharta Hai is written by Abdul Aziz Khalid. Read famous Poem Qurb Nas Nas Mein Aag Bharta Hai for youth and Student by Abdul Aziz Khalid. Free Download Qurb Nas Nas Mein Aag Bharta Hai in PDF.