Takid Karo Zamzama-sanjaan-e-chaman Ko

takid karo zamzama-sanjaan-e-chaman ko

bechain hon dil jin se wo naghme na alapo

ai ahl-e-watan! khao piyo shauq se lekin

khelo na kabhi sar se kabhi munh se na bolo

har tair-e-parran ke par-o-baal karo qainch

har banda-e-azad ko shishe mein utaro

ban jae riwayat na kahin halqa-e-zanjir

har rafta ko maujud ki mizan pe taulo

pursan-e-pareshani-e-insan nahin koi

qismat ki girah naKHun-e-tadbir se kholo

kyun sarf-e-nazar karte ho anjam se apne

qudrat to taraf-dar kisi ki nahin logo!

hum to hain faqat dil-zada-e-zauq-e-tamasha

rum hum se abas karte ho ai zohra-nigaho!

hum chashm-e-sahar, dida-e-shab, dast-e-saba hain

parda to hai na-mahramon se lala-azaro!

wo qaum ki nam is ka musalman hai 'KHalid'

kya yaad hai shart antum-ul-alaun ki us ko?

(1359) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Takid Karo Zamzama-sanjaan-e-chaman Ko In English By Famous Poet Abdul Aziz Khalid. Takid Karo Zamzama-sanjaan-e-chaman Ko is written by Abdul Aziz Khalid. Read famous Poem Takid Karo Zamzama-sanjaan-e-chaman Ko for youth and Student by Abdul Aziz Khalid. Free Download Takid Karo Zamzama-sanjaan-e-chaman Ko in PDF.