Zamin-nazhad Hain Lekin Zaman Mein Rahte Hain

zamin-nazhad hain lekin zaman mein rahte hain

makan nasib nahin la-makan mein rahte hain

wo Dol Dalen kisi kar-e-paedar ka kya

jo be-sabaati-e-umr-e-rawan mein rahte hain

hum aise ahl-e-chaman gosha-e-qafas mein bhi

hisab-e-KHar-o-KHas-e-ashiyan mein rahte hain

na bud-o-bash ko puchho ki hum faqir-manash

suKHan ke mabad-e-be-saeban mein rahte hain

kahan talash karoge hamein ki hum to mudam

huzuri-e-dil-e-be-KHanuman mein rahte hain

nashe ki lahr mein KHum KHum lunDha ke aab-e-hayat

sarab-e-zindagi-e-jawedan mein rahte hain

nai mohabbaten 'KHalid' purani dostiyan

azab-e-kashmakash-e-be-aman mein rahte hain

(1032) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin-nazhad Hain Lekin Zaman Mein Rahte Hain In English By Famous Poet Abdul Aziz Khalid. Zamin-nazhad Hain Lekin Zaman Mein Rahte Hain is written by Abdul Aziz Khalid. Read famous Poem Zamin-nazhad Hain Lekin Zaman Mein Rahte Hain for youth and Student by Abdul Aziz Khalid. Free Download Zamin-nazhad Hain Lekin Zaman Mein Rahte Hain in PDF.