Ghubar-e-dard Se Sara Badan ATa Nikla

ghubar-e-dard se sara badan aTa nikla

jise bhi KHanda-ba-lab dekha gham-zada nikla

ab ehtiyat bhi aur kya ho be-libas to hun

ek aastin se mana ki azhdaha nikla

mere KHulus pe shak ki to koi wajh nahin

mere libas mein KHanjar agar chhupa nikla

laga jo piTh mein neza to samjhe dushman hai

magar palaT ke jo dekha to aashna nikla

mere lahu se hai rangin jabin-e-subh to kya

chalo ki zulmat-e-shab ka to hausla nikla

ye hath rakh mein KHwabon ki Dalte to ho

magar jo rakh mein shola koi daba nikla

suna tha hadd-e-tabassum hai aansuon se qarib

baDhe jo aage to barson ka fasla nikla

wo ek harf-e-tamanna jo kahte Darte the

zaban pe aaya to un ka hi muddaa nikla

kulah kaj kiye din bhar jo shaKHs phirta tha

gali mein sham ko dekha to wo gada nikla

tulu subh 'naimi' jahan se honi thi

usi ufuq se andheron ka silsila nikla

(1180) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghubar-e-dard Se Sara Badan ATa Nikla In English By Famous Poet Abdul Hafiz Naeemi. Ghubar-e-dard Se Sara Badan ATa Nikla is written by Abdul Hafiz Naeemi. Read famous Poem Ghubar-e-dard Se Sara Badan ATa Nikla for youth and Student by Abdul Hafiz Naeemi. Free Download Ghubar-e-dard Se Sara Badan ATa Nikla in PDF.