Har Insan Apne Hone Ki Saza Hai

har insan apne hone ki saza hai

bhare bazar mein tanha khaDa hai

nae darbanon ke pahre biThao

hujum-e-dard baDhta ja raha hai

rahe hum hi jo har patthar ki zad mein

hamari sar-bulandi ki KHata hai

mahakte gesuon ki raat guzri

sawa neze pe ab suraj khaDa hai

mere KHwabon ki chikni siDhiyon par

na jaane kis ka but TuTa paDa hai

wo shole hon lahu ho hadse hon

meri hi zindagi par tabsira hai

teri zulfen to hain badnam yunhi

mujhe din ke ujalon ne Dasa hai

chalo chupke se kuchh but aur rakh aaen

dar-e-kaba abhi shayad khula hai

utar kar to fasil-e-shab se dekho

sahar ne KHud-kushi kar li suna hai

abhi taq-e-tasawwur par 'naimi'

charagh-e-lazzat-e-shab jal raha hai

(1093) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Insan Apne Hone Ki Saza Hai In English By Famous Poet Abdul Hafiz Naeemi. Har Insan Apne Hone Ki Saza Hai is written by Abdul Hafiz Naeemi. Read famous Poem Har Insan Apne Hone Ki Saza Hai for youth and Student by Abdul Hafiz Naeemi. Free Download Har Insan Apne Hone Ki Saza Hai in PDF.