Honkte Dasht Mein Ek Gham Ka Samundar Dekho

honkte dasht mein ek gham ka samundar dekho

tum kisi roz agar dil mein utar kar dekho

niklo saDkon pe to hansti hui lashon se milo

band aankhen jo karo qatl ka manzar dekho

aanch qurbat ki na pighla de kahin tar-e-nazar

shola-e-husn ko kuchh dur se bach kar dekho

ye to kahte ho ki KHud main ne kaTai gardan

koi hathon mein hawa ke bhi to KHanjar dekho

aastinen to kahin chupke se dho lo yaro

ho kisi ko na shubah qatl ka tum par dekho

dar o diwar se uThte hain ye shole kaise

dosto chal ke zara ghar ke to andar dekho

haDDiyan gal chukin ab to na ukheDo un ko

DhunD len phir ye naya koi na paikar dekho

main bhi is safha-e-hasti pe ubhar sakta hun

rang to tum meri taswir mein bhar kar dekho

ab to khilti hui kaliyon mein na DhunDo mujh ko

rakh hote hue ek shole ka manzar dekho

phenk do TuTi ummidon ke ye TukDe bahar

dil mein rah jae kirich koi na gaD kar dekho

liye aaina wafaon ka kahan phirte ho

hon na hathon mein kahin andhon ke patthar dekho

ek muddat se hai logon ko 'naimi' ki talash

qasr-e-tanhai ki diwaren gira kar dekho

(1120) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Honkte Dasht Mein Ek Gham Ka Samundar Dekho In English By Famous Poet Abdul Hafiz Naeemi. Honkte Dasht Mein Ek Gham Ka Samundar Dekho is written by Abdul Hafiz Naeemi. Read famous Poem Honkte Dasht Mein Ek Gham Ka Samundar Dekho for youth and Student by Abdul Hafiz Naeemi. Free Download Honkte Dasht Mein Ek Gham Ka Samundar Dekho in PDF.