Bas Is Qadar Hai KHulasa Meri Kahani Ka

bas is qadar hai KHulasa meri kahani ka

ki ban ke TuT gaya ek habab pani ka

mila hai saqi to raushan hua hai ye mujh par

ki hazf tha koi TukDa meri kahani ka

mujhe bhi chehre pe raunaq dikhai deti hai

ye moajiza hai tabibon ki KHush-bayani ka

hai dil mein ek hi KHwahish wo Dub jaane ki

koi shabab koi husn hai rawani ka

libas-e-hashr mein kuchh ho to aur kya hoga

bujha sa ek chhanaka teri jawani ka

karam ke rang nihayat ajib hote hain

sitam bhi ek tariqa hai mehrbani ka

'adam' bahaar ke mausam ne KHud-kushi kar li

khula jo rang kisi jism-e-arghawani ka

(1750) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bas Is Qadar Hai KHulasa Meri Kahani Ka In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Bas Is Qadar Hai KHulasa Meri Kahani Ka is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Bas Is Qadar Hai KHulasa Meri Kahani Ka for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Bas Is Qadar Hai KHulasa Meri Kahani Ka in PDF.