Be-sabab Kyun Tabah Hota Hai

be-sabab kyun tabah hota hai

fikr-e-farda gunah hota hai

tujh ko kya dusron ke aibon se

kyun abas ru-siyah hota hai

mujh ko tanha na chhoD kar jao

ye KHala be-panah hota hai

zak usi se bahut pahunchti hai

jo mera KHair-KHwah hota hai

us ghaDi us se mang lo sab kuchh

jab 'adam' baadshah hota hai

(1124) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-sabab Kyun Tabah Hota Hai In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Be-sabab Kyun Tabah Hota Hai is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Be-sabab Kyun Tabah Hota Hai for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Be-sabab Kyun Tabah Hota Hai in PDF.