Bhule Se Kabhi Le Jo Koi Nam Hamara

bhule se kabhi le jo koi nam hamara

mar jae KHushi se dil-e-nakaam hamara

le jati hai us samt hamein gardish-e-dauran

ai dost KHarabaat se kya kaam hamara

kar lete hain taKHliq koi wajh-e-aziyyat

bhata nahin KHud hum ko bhi aaram hamara

ai gardish-e-dauran ye koi soch ki rut hai

kam-baKHt abhi daur mein hai jam hamara

is bar to aaya tha idhar qasid-e-jaan KHud

sarkar ko pahuncha nahin paigham hamara

pahunchai hai taklif bahut pahle hi tujh ko

ai rah-numa hath na ab tham hamara

ai qafila-e-hosh ganwa waqt na apna

paDta nahin kuchh Thik abhi gam hamara

dekha hai haram tera magar hae-re zahid

mahka hua wo kucha-e-asnam hamara

ghilman bhi jannat ke baDi chiz hain lekin

tauba meri wo saqi-e-gulfam hamara

gul nauha-kunan o sanam-e-dast-ba-sina

allah ghani! lamha-e-anjam hamara

kar baiThe hain hum bhul ke tauba jo sahar ko

shishe ko taaqub hai sar-e-sham hamara

mai pina 'adam' aur qadam chumna un ke

hai shaghl yahi ab sahar-o-sham hamara

(1348) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhule Se Kabhi Le Jo Koi Nam Hamara In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Bhule Se Kabhi Le Jo Koi Nam Hamara is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Bhule Se Kabhi Le Jo Koi Nam Hamara for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Bhule Se Kabhi Le Jo Koi Nam Hamara in PDF.