Bhuli-bisri Baaton Se Kya Tashkil-e-rudad Karen

bhuli-bisri baaton se kya tashkil-e-rudad karen

hum ko to kuchh yaad nahin hai aap hi kuchh irshad karen

pahle-pahal jab aap ka joban itna shahr-ashob na tha

ek mushtaq se sada-dil insan ki parastish yaad karen

aap se mumkin hai dil-jui yazdan ki ye rit nahin

jis ko sun kar chup rahna hai us se kya fariyaad karen

ishq ne saunpa hai kaam apna ab to nibhana hi hoga

main bhi kuchh koshish karta hun aap bhi kuchh imdad karen

juzw-e-tabiat ban jaen to jaur karam ho jate hain

lutf na ab raij farmaen sirf sitam ijad karen

(1296) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhuli-bisri Baaton Se Kya Tashkil-e-rudad Karen In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Bhuli-bisri Baaton Se Kya Tashkil-e-rudad Karen is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Bhuli-bisri Baaton Se Kya Tashkil-e-rudad Karen for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Bhuli-bisri Baaton Se Kya Tashkil-e-rudad Karen in PDF.