Duaen De Ke Jo Dushnam Lete Rahte Hain

duaen de ke jo dushnam lete rahte hain

wo jam dete hain aur jam lete rahte hain

KHafa na ho ki hamara qusur koi nahin

bila-irada tera nam lete rahte hain

hujum-e-gham mein tera nam bhul bhi jae

to phir bhi jaise tera nam lete rahte hain

ye nam aisa hai bilkul hi gar na len us ko

to phir bhi hum sahar-o-sham lete rahte hain

teri nigah ka kya qarz hum utarenge

teri nazar se baDe kaam lete rahte hain

main wo musafir-e-raushan-KHayal hun yaro

jo raste mein bhi aaram lete rahte hain

gham-e-hayat ki talim-o-tarbiyat ke liye

teri nigah ke ahkaam lete rahte hain

paDi hai yun hamein bad-namiyon ki chaT 'adam'

ki muskura ke har ilzam lete rahte hain

(1189) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duaen De Ke Jo Dushnam Lete Rahte Hain In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Duaen De Ke Jo Dushnam Lete Rahte Hain is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Duaen De Ke Jo Dushnam Lete Rahte Hain for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Duaen De Ke Jo Dushnam Lete Rahte Hain in PDF.