Ek Na-maqbul Qurbani Hun Main

ek na-maqbul qurbani hun main

sar-phiri ulfat mein la-sani hun main

main chala jata hun wan taklif se

wo samajhte hain ki la-sani hun main

kan dharte hi nahin wo baat par

kab se masruf-e-sana-KHwani hun main

zindagi hai ek kirae ki KHushi

sukhte talab ka pani hun main

mujh se baDh kar kya koi hoga amir

qimti wirse ki arzani hun main

chandni raaton mein yaron ke baghair

chandni raaton ki virani hun main

kahna sunna un se mujh ko kuchh nahin

sirf ek tamhid-e-tulani hun main

mujh ko pachhtana nahin aata 'adam'

ek daulat-mand nadani hun main

(1272) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Na-maqbul Qurbani Hun Main In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Ek Na-maqbul Qurbani Hun Main is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Ek Na-maqbul Qurbani Hun Main for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Ek Na-maqbul Qurbani Hun Main in PDF.