Faqir Kis Darja Shadman The Huzur Ko Kuchh To Yaad Hoga

faqir kis darja shadman the huzur ko kuchh to yaad hoga

huzur kis darja mehrban the huzur ko kuchh to yaad hoga

wo mai-kada tha sanam-kada tha ki bab-e-jannat khule hue the

tamam shab aap hum kahan the huzur ko kuchh to yaad hoga

wahan bahaaron ke zamzame the wahan nigaron ke jamgaThe the

wahan sitaron ke karwan the huzur ko kuchh to yaad hoga

pahan ke phulon ke taj sar par hasin-o-shadab masnadon par

subu-ba-kaf kaun hukmaran the huzur ko kuchh to yaad hoga

marahil-e-rahat-o-aman the masail-e-mah-o-kahkashan the

mashaghil-e-harf-o-dastan the huzur ko kuchh to yaad hoga

agarche shauq-o-talab the be-saKHta ham-aghoshiyon pe mail

kai takalluf bhi darmiyan the huzur ko kuchh to yaad hoga

latif shamen tabiaton ke zamir se KHub aashna thin

hasin sawere mizaj-dan the huzur ko kuchh to yaad hoga

nazar ki had tak muhit tha silsila mahakte hue gulon ka

gulon mein pariyon ke ghar nihan the huzur ko kuchh to yaad hoga

ajib sanche ki kashtiyan bah rahi thin lahron ke zer-o-bam par

ajib surat ke baadban the huzur ko kuchh to yaad hoga

uluhiyat aap is hasin ittifaq par muskura rahi thi

sanam KHudaon ke mehman the huzur ko kuchh to yaad hoga

jo waqiye the wo gunjte zamzamon ke manind maujzan the

jo KHwab the sarw-e-bostan the huzur ko kuchh to yaad hoga

kahin kahin salsabil o kausar ki jot maujud thi zamin par

kahin kahin arsh-o-asman the huzur ko kuchh to yaad hoga

shab-e-mohabbat huzur ki kakulon ke khulne ke silsile mein

'adam' ke israr kya jawan the huzur ko kuchh to yaad hoga

(1153) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Faqir Kis Darja Shadman The Huzur Ko Kuchh To Yaad Hoga In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Faqir Kis Darja Shadman The Huzur Ko Kuchh To Yaad Hoga is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Faqir Kis Darja Shadman The Huzur Ko Kuchh To Yaad Hoga for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Faqir Kis Darja Shadman The Huzur Ko Kuchh To Yaad Hoga in PDF.