Gham-e-mohabbat Sata Raha Hai Gham-e-zamana Masal Raha Hai

gham-e-mohabbat sata raha hai gham-e-zamana masal raha hai

magar mere din guzar rahe hain magar mera waqt Tal raha hai

wo abr aaya wo rang barse wo kaif jaga wo jam khanke

chaman mein ye kaun aa gaya hai tamam mausam badal raha hai

meri jawani ke garm lamhon pe Dal de gesuon ka saya

ye dopahar kuchh to moatadil ho tamam mahaul jal raha hai

ye bhini bhini si mast KHushbu ye halki halki si dil-nashin bu

yahin kahin teri zulf ke pas koi parwana jal raha hai

na dekh o mah-jabin meri samt itni masti-bhari nazar se

mujhe ye mahsus ho raha hai sharab ka daur chal raha hai

'adam' KHarabaat ki sahar hai ki bargah-e-rumuz-e-hasti

idhar bhi suraj nikal raha hai udhar bhi suraj nikal raha hai

(1175) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham-e-mohabbat Sata Raha Hai Gham-e-zamana Masal Raha Hai In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Gham-e-mohabbat Sata Raha Hai Gham-e-zamana Masal Raha Hai is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Gham-e-mohabbat Sata Raha Hai Gham-e-zamana Masal Raha Hai for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Gham-e-mohabbat Sata Raha Hai Gham-e-zamana Masal Raha Hai in PDF.