Girte Hain Log Garmi-e-bazar Dekh Kar

girte hain log garmi-e-bazar dekh kar

sarkar dekh kar meri sarkar dekh kar

aawargi ka shauq bhaDakta hai aur bhi

teri gali ka saya-e-diwar dekh kar

taskin-e-dil ki ek hi tadbir hai faqat

sar phoD lijiye koi diwar dekh kar

hum bhi gae hain hosh se saqi kabhi kabhi

lekin teri nigah ke atwar dekh kar

kya mustaqil ilaj kiya dil ke dard ka

wo muskura diye mujhe bimar dekh kar

dekha kisi ki samt to kya ho gaya 'adam'

chalte hain rah-rau sar-e-bazar dekh kar

(1731) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Girte Hain Log Garmi-e-bazar Dekh Kar In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Girte Hain Log Garmi-e-bazar Dekh Kar is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Girte Hain Log Garmi-e-bazar Dekh Kar for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Girte Hain Log Garmi-e-bazar Dekh Kar in PDF.