Gunah-e-jurat-e-tadbir Kar Raha Hun Main

gunah-e-jurat-e-tadbir kar raha hun main

ye kis qimash ki taqsir kar raha hun main

main jaanta hun alamat hai zoaf himmat ki

jise nasib se tabir kar raha hun main

abhi tadabbur-o-tadbir ka nahin mauqa

abhi himayat-e-taqdir kar raha hun main

hujum-e-hashr mein kholunga adl ka daftar

abhi to faisle tahrir kar raha hun main

jawab dene ki aadat nahin KHuda ko agar

to kya parastish-e-taswir kar raha hun main

tabah ho ke haqaeq ke khurdure-pan se

tasawwuraat ki tamir kar raha hun main

KHuda ke aage 'adam' zikr-e-azmat-e-insan

ghalat maqam pe taqrir kar raha hun main

(1021) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gunah-e-jurat-e-tadbir Kar Raha Hun Main In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Gunah-e-jurat-e-tadbir Kar Raha Hun Main is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Gunah-e-jurat-e-tadbir Kar Raha Hun Main for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Gunah-e-jurat-e-tadbir Kar Raha Hun Main in PDF.