Kashti Chala Raha Hai Magar Kis Ada Ke Sath

kashti chala raha hai magar kis ada ke sath

hum bhi na Dub jaen kahin na-KHuda ke sath

dil ki talab paDi hai to aaya hai yaad ab

wo to chala gaya tha kisi dilruba ke sath

jab se chali hai aadam o yazdan ki dastan

har ba-wafa ka rabt hai ek bewafa ke sath

mehman mezban hi ko bahka ke le uDa

KHushbu-e-gul bhi ghum rahi hai saba ke sath

pir-e-mughan se hum ko koi bair to nahin

thoDa sa iKHtilaf hai mard-e-KHuda ke sath

shaiKH aur bahisht kitne tajjub ki baat hai

ya-rab ye zulm KHuld ki aab-o-hawa ke sath

paDhta namaz main bhi hun par ittifaq se

uThta hun nisf raat ko dil ki sada ke sath

mahshar ka KHair kuchh bhi natija ho ai 'adam'

kuchh guftugu to khul ke karenge KHuda ke sath

(2297) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kashti Chala Raha Hai Magar Kis Ada Ke Sath In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Kashti Chala Raha Hai Magar Kis Ada Ke Sath is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Kashti Chala Raha Hai Magar Kis Ada Ke Sath for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Kashti Chala Raha Hai Magar Kis Ada Ke Sath in PDF.